Naezy Mallika Скачать

Naezy Mallika

Naezy

Mallika

11 прослушиваний
03:25
Все треки Naezy Текст песни
Создайте песню с именемНейросеть напишет и споёт за 2 минуты · от 11 ₽Создать
Слушать
Скачать песню

Текст песни «Mallika»

Naezy

Malika, yeh gaana maine aapke liye likha
Aap ho meri Malika
Aur main kitni shiddat se
Aapko paane ki koshish mein
Hamesha se laga rehta huin

Kya? Suno

Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn
Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn

Waise toh mohabbat karna pehle hi kathin hai kitna
Kitna bhi khud ko rok liye, na rok saka, maine hosh ganwaya
Chain bhi, tere nain ne mujhko ghol liya
Anmol nighaahe paas bulaaye, pyaas jagaaye, yaad dilaaye ki

Meri Malika hai pure duniya me sabse haseen
Malika hai mere dil ke jo sabse qareeb
Malika hai woh jo mile toh khule mera naseeb
Malika hai mera unka yeh rishta ajeeb

Malika hai unki aala hai uchi tameez
Malika hai unka mamuli nahi hai zameer
Malika hai woh resham ki pehne kameez
Malika hai, hai dil se bhi utni ameer

Malika hai, unka aana hai jaise baharo ka aana
Malika hai, unki khushboo ki taazgi duba zamana
Malika hai, milna chhahte hai sab inse kar ke bahana
Malika hai, unke naino se gehno se basti chamakti

Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn
Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn

Tu mere dil me nahi, toh phir tu kahaan hai
Mann me nahi toh, phir tu kahaan hai
Chalne lagi ishq ki hawayein
Rab, mere rab mujhe ab bachaayien

Dhadkanien kare dhak-dhak-dhak-dhak
Phir tune di dastak-dastak
Doori rahe kabtak-kabtak
Dil bole haan, mastak-mastak

Bole tu jaha hai
Dhime-dhime, dheere-dheere lene tujhe aaye
Pada tera bhai
Piche mere, piche tere, bura mera haal

Lage tu kamal
Lekin mai phir ruko kyunki tu hai ek amaanat
Niyat meri acchi, teri sirat meri chaahat
Hateli ka chhaala, teri patli banawat

Pata mai nikala tere ghar pe mai aayega
Roz mai rose deke dosti badayega
Shaving karayega, mai khushboo lagayega
Hero wala pose deke tasveer khechaayega

Tere jaal me mai phasa, ab tujhe bhi phasayega
Gaane jo bolegi, gaane wo gayega
Tune bola gaane lekin mera bhi hai kaida
Jeevan me pyar nahi toh jeene ka kya fayda

Haafta vasooli me baat nahi bhooli
Saath mere chal, mai gajar, tu mooli
Haath mera thaam le mai chad jau sooli
Ma'am, tere pyaar me mai ban jau coolie

Koi tujhe chhede, woh seedha lafa khaayega
Haath jo lagaye uska, keema ban jayega
Bindaas mere saath chal, mai tujhko bachayega
Jaan meri jaaye toh jaaye, mere jaan-e-jaa

Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn
Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, nahi aawaara gali ka
Tum mere Malika, oh, sunn

Kuchh bhi

На странице доступен трек Mallika от Naezy (03:25). Слушайте онлайн или загрузите в mp3 в один клик бесплатно на свое устройство — выше есть текст песни.

Другие песни Naezy

Все 18 треков

Свежее на Muzfrog

Все новинки →